INTRODUCTION
To class 11th Me bhi ek chapter tha Electrostatics or usme humne Flux ,Charge density and Gauss law k bare me jana tha (जो तुम्हे बिलकुल भी याद नहीं होगा 😆 ) To पहले thoda sa recap lelete hain , qki usi k aage abhi hum class 12th me Application of gauss law padhne vale hain.
RECAP OF CLASS 11th
Flux Kya hota hai?
Charge density and Uske types?
Gauss law kya hota hai?
FLUX KYA HOTA HAI?
Saaf or simple bhasha me filhal k liye itna jaan lo ki Electric field lines jb kisi area se paas hoti hain to use flux kahte hain.
" Flux ka symbol is 𝛷 "
Figure 1. Electric field lines passing from an Object
EXPLANATION OF DIAGRAM
Green Box ek object hai jha se Electric field lines (Dotted) pass ho rahi hain, Ab dekho Tumko 1 line dikh rhi hain jispe A likha hai or vo angle (θ) bana rahi hai Electric field k sath. (अब ध्यान से समझना यहाँ.)
Jo A hai इसका मतलब होता है Area Vector or vo hamesha kisi bhi surface k perpendicular hota hai.
Flux (Φ = EA Cosθ) ; [E is Electric field & A is area Vector]
ELECTRIC FLUX- "एक देसी तरीके से समझो"
Socho tumhara ek friend hai 😄 Aur tumne use khidki (window) se bahar fek diya. Ab isse Flux samjhte hain
Jitne friends khidki ke through bahar nikal rahe hain. Utna Electric Field mana jaaega
Matlab:
Kuch cheez andar se bahar ja rahi hai, और Kisi surface ke through ja rahi hai
बस यही FLUX का BASIC आईडिया है
Step 2: Khidki = Surface
Yahan khidki ek surface hai.
Step 3: Area Vector kya hota hai?
Ab khidki ke beech se ek seedhi line draw karo jo khidki se 90° (perpendicular) ho.
Is line ko bolte hain Area Vector
Figure 2. Analogy Of Electric Flux
CHARGE DENSITY
Electrostatics me jab charge sirf ek point par nahi balki kisi length, surface ya volume me faila hua hota hai, to hum charge ko describe karne ke liye Charge Density ka use karte hain.
Charge Density ka matlab hota hai: kitna charge kis area, length ya volume me distributed hai.
CHARGE DENSITY के TYPES
Charge density 3 tareeke ki hoti hai:
Linear Charge Density (λ)
Surface Charge Density (σ)
Volume Charge Density (ρ)
Figure 4. Linear charge Distribution
Jab charge sirf ek line ya wire par uniformly spread ho, to use Linear Charge Density kehte hain.
Definition
Per unit length charge ko Linear Charge Density kehte hain.
Formula:
λ=Q/L
Q = Total charge
L = Length
λ = Linear charge density
Unit: c/m (Coulomb per metre)
Figure 5. Surface charge distribution
Jab charge kisi surface par faila ho,jaise plate, sphere, shell, to use Surface Charge Density bolte hain.
Definition
Per unit Area charge ko Surface Charge Density kehte hain.
Formula:
σ=Q/A
Q = Total charge
L = Length
A = Surface charge density
Unit: c/m2 (Coulomb per metre-Square)
Figure 6. Volume charge distribution
Jab charge poore volume ke andar distributed ho to use Volume Charge Density kehte hain.
Definition
Per unit volume charge ko Volume Charge Density kehte hain.
Formula:
ρ=Q/V
Q = Total charge
V = Volume
ρ= Surface charge density
Unit: c/m3 (Coulomb per metre-Cube)
GAUSS' LAW
hhhhhhhhhhhh
ELECTROSTATICS of CLASS 12th STARTS HERE {PICTURE अभी बाकि है BABU MOSHAI}